ReportingNext.com - Everything! Reported.
Home Forum Poetry Jokes Ecards Quotes Wallpapers Gallery
 



Rating:
Views: 982

ek pal main ek sadi ka maza hum say pochayee
do din ki zindagi ka maza hum say pochayee
bholay hain rafta rafta unhay mudato main hum
qisto main khudkashi ka maza hum say pochayee

---------------------------------------------------------

khoshbo ki tarah guzro meray dil ki gali say
pholo ki tarah mujh pay bikar jao kisi din
main apni har ek saans usi raat ko daydoun
sar rak kay meray senay pay so jao kisi din

----------------------------------------------------------

ajeeb sham kari hai kahi say ajao
bari udaas gari hai kahi say ajao
kisi say milna so miltay phir bechar jana
saza ye itni bari hai kahi sa a jana

-----------------------------------------------------------

saath hi neklay thay raat barish aur main
shehar main je bar kay barsay rat barish aur main

------------------------------------------------------------

mar jay tu bar jati hai insaan ki qimat
zinda hai tu jenay ki saza dayti hai dunya

------------------------------------------------------------

hum cheen langay tum say ye shane beniazi
tum mangtay phiro gay apna ghoror hum say

-------------------------------------------------------------

dunya say aaj mehar-o-marawat he uth gayee
aab hum rahangay kis saharay zameen pay
ammir tumhara chand say kia rabta huwa
lagtay nahi paoun abb tumharay zameen pay



By: Amir Ayub

 


[ Back to Mix-Poetry ] - [ Send to a Friend ] - [ Rate This Poem ]

[ Poetry Home ] - [ Submit a Poem ]


Untitled Document
More Links
Sponsers
More Links
More Links

©itsMardan.com 2004-05
For Comments/Suggestions contactus