ReportingNext.com - Everything! Reported.
Home Forum Poetry Jokes Ecards Quotes Wallpapers Gallery
 



Rating:
Views: 2514

barasoun ke baad dekha ik shaKhs dil ruba sa
ab zahan main nahain hai par naam tha bhala sa

abaruu khienche khienche se ankhain jhuki jhuki se
baatain ruki ruki se lahaja thaka thaka sa

alfaaz the ke jugnuu awaz ke safar main
ban jaaye jangaloun main jis tarah raastaa saa

Khwaaboun main Khwaab us ke yaadoun main yaad us ki
nendoun main ghul gayaa ho jaise ke rat jagaa saa

pahale bhi log aaye kitane hi zindagii main
wo har tarah se lekin auroun se thaa judaa saa

agalii muhabbatoun nay wo naa_muraadiyaaun dein
taazaa rafaaqatoun se dil thaa Daraa Daraa saa

kuchh ye ke muddatoun se ham bhi nahain the roye
kuchh zahar main bujhaa tha ahabaab kaa dilaasaa

phir youn howa ke saavan ankhoun main aa base the
phir youn howa ke jaise dil bhi thaa aabalaa saa

ab sach kahein to yaaro ham ko Khabar nahain thi
ban jaayegaa qayaamat ek waaqia zaraa saa

tevar the beruKhi ke andaaz dosti ke
wo ajanabi tha lekin lagataa thaa aashnaa saa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahain tha pyaasaa

ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa



By: Alee

 


[ Back to Ahmad-Faraz-Poetry ] - [ Send to a Friend ] - [ Rate This Poem ]

[ Poetry Home ] - [ Submit a Poem ]


Untitled Document
More Links
Sponsers
More Links
More Links

©itsMardan.com 2004-05
For Comments/Suggestions contactus